Thursday 9 May 2013

Teri sang mera preet hai

Mein jo kahu
Tu kya sun rahe
Mein agar na rahu
Tu kya roye
Teri sang mera preet hai

Meri khawabo ke parinde urta rahe
Meri dil mein armaano jaagta rahe
Fayal gaye sannate charo taraf
Teri ankho ki bol se sare chakna chur huye

Tere kashish mein dubta raha
Asmaan zameen ke kareeb ane laga
Ya mein asmaan ko chu liya
Barish ke boond me tujhe mehsus karta raha
Bheegi hui yeh jism tujhe maangta raha

Mein jo kahu
Tu kya sun rahe
Mein agar na rahu
Tu kya roye
Teri sang mera preet hai

Teri yaarana bhula na payunga
Meri parchaiyaan tu chura na payegi
Jaaye tu jitni dur
Utni tu mera kareeb rahegi

Mein aunga sawairay ke sapne me
Churaunga dil tera lutere banke
Banaunga tujhe apne pyaar ki karzdaar
Meri mohabbat ko tu kar na payegi inkaar

Mein sun raha hu
Jo tu kahe
Mein agar jiyu
Tere sang jiye
Teri sang mera preet hai

Kasur nehi pyar ke dastur mein
Fakhar hai aisi ishq mein
Tere bina jiye to kaise jiye
Tu jo meri rab hai

Man lenge teri har hidayat
karenge nei koi sikhayet
Bas tu keh de ekbar
Mujhse hai teri mohabbat
Bhula denge sare gam
Likhenge naye sargam

Mein jo kahu
Tu kya sun rahe
Mein agar na rahu
Tu kya roye
Mein sun raha hu
Jo tu kahe
Mein agar jiyu
Tere sang jiye
Teri sang mera preet hai

No comments:

Post a Comment