Wednesday 1 May 2013

Hum jaagte huye bhi sote kyun hai


Na jaane kyun aisa lagta hai yeh dil bekarar hai
Na jaane kyun aisa lagta hai yeh dil khoya khoya hai
Na jaane kyun aisa lagta hai pyaar ek jhut hai

Hum jaagte huye bhi sote kyun hai

Kabhi irada nehi tha dhoka dene ki
Kabhi irada nehi tha saath chodne ki
Kabhi irada nehi tha tumhe bhulne ki

Na jaane kyun aisa lagta hai saare irada hi galat hai
Hum jaagte huye bhi sote kyun hai

Khayal to tha badalte waqt ke saath mein na badlu
Khayal to tha guzaarte huye umar ke saath mein pyar karna na bhulu
Khayal to tha tumhari ishq ki samunder mein teher te rahu

Na jaane kyun aisa lagta hai sab fareb hai
Hum jaagte huye bhi sote kyun hai

No comments:

Post a Comment