Tuesday 9 September 2014

Kaisi hai yeh khusiyan...

Chanak chanak chan
Chanke payal...
Dhadak dhadak dil
Dhadke dhadkan...

Fudak fudak ke

Gata yeh maan...
Leher leher ke
Urta patang...

Kaisi hai yeh khusiyan...

Jo byaan na kar paya
Chune ki maan main
Chal para dhundta huye woh sitara...(x2)

Soch soch mein 

Duba hai tu...
Rang rang mein 
Khilti hai tu...

Har mausam ki geet hai tu

Pyaar ki reet hai tu
Nazrein hathne se bhi dil se hathti nehi tu
Zindegi bhulane wali nasha hai tu

Kaisi hai yeh khusiyan...

Jo yakeen na aya
Pyaar ki geet se
Yeh dil ko albela banaya...(x2)

Uchal uchal ke hasti hai tu

Zindegi ki umeed hai tu
Is kainaat mein anokha hai tu
Mohabbat ki manzil hai tu

Ruth ruth ke pyaar karti hai tu

Rula ke gale lagane wali hai tu
Bachhaein jaise adayein teri
Ek nayi zindegi ki suruwaat ki sapna hai tu

Kaisi hai yeh khusiyan...

Jo chupke se dil mein samaa gaya
Muskurate huye tu
Bana liya is dil mein chotisi aashiayna...(x2)

Chanak chanak chan

Chanke payal
Dhadak dhadak dil
Dhadke dhadkan

Fudak fudak ke

Gata yeh maan
Leher leher ke
Urta patang

Kaisi hai yeh khusiyan...

Jo byaan na kar paya
Chune ki maan main
Chal para dhundta huye woh sitara...

Kaisi hai yeh khusiyan...

Jo yakeen na aya
Pyaar ki geet se
Yeh dil ko albela banaya...
Muskurate huye tu
Bana liya is dil mein chotisi aashiayna...

No comments:

Post a Comment