Thursday, 17 October 2013

Zinda hu mein...Ehsaas nahin...

Zinda hu main
Ehsaas nahin...
Ro raha hai dil
Anshu nahin...

Dil hai 
Tasveer nahin...
Dhadkan mein
Pyaar nahin...

Zinda hu main
Ehsaas nahin...

Woh choti choti lamhe
Mithi mithi baatein
Yaad aati hai

Woh pyara pyara sapna
Khoya hua aapna
Satati hai

Tere mere beech main
Aab koi rishtaa nahin...
Dil jaale...dard huye...
Aur koi umeed nahin...

Bechaan hu main
Shor nahin...
Aankhein hai khulasa
khawaish nahin...

Hawa me koi
Mehek nahin...
Sooraj main
Garmi nahin...

Bithe huye lamhon mein
Jee raha hu mein
Khayalon ki uljhano se
Lar raha hu mein

Rahta hu zameen pe
Khoya hu aasman pe
Yaad karta hu teri nigahon ko
Bina koi khayaalon ke

Tere mere beech mein
Aab koi rishtaa nahin...
Dil jaale...dard huye...
Aur koi umeed nahin...

Chal raha hu mein
Manzil nahin...
Keh raha hu mein
Alfaaz nahin...

Zindegi hai
Jaswa nahin...
Chahat hai
Umeed nahin...

Zinda hu main
Ehsaas nahin...

Yeh daur hai darawna
Yeh raasta hai lamba sa
Akele sowar hu mein
Na hai koi yaraana

Teri ishq me thi jaan
Teri adayon me thi shaan
Na jane kyun har gaya mein
Zindegi ki rann

Mehfil mein koi
Geet nahin...
Sharaab ki boond mein
Jashn nahin...

Zinda hu mein
Wajood nahin...
Tanha hai dil
Marham nahin...

Tere mere beech mein
Aab koi rishtaa nahin...
Dil jaale...dard huye...
Aur koi umeed nahin...

Zinda hu main
Ehsaas nahin...

(Depicts a small hope)
Chahe jitni dur jao
Milenge hum fir bhi
Duniya itni bari nahin...